Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sharh-e-jamal kije shahadat ke ma-siwa

Samad Ansari

sharh-e-jamal kije shahadat ke ma-siwa

Samad Ansari

MORE BYSamad Ansari

    sharh-e-jamāl kiije shahādat ke mā-sivā

    husn-e-azal baat rivāyat ke mā-sivā

    rag rag meñ dauḌtī thī bahāroñ tāzgī

    ab kuchh nahīñ lahū meñ harārat ke mā-sivā

    ma.anī meñ Dhaal dījiye ik ek harf ko

    kiije magar kalām ibārat ke mā-sivā

    miltā nahīñ jahān meñ rañg āstān

    mātam hai karbalā meñ shahādat ke mā-sivā

    bas ik qayām diid pe hai ijtimā-e-kul

    mumkin nahīñ hai hashr qayāmat ke mā-sivā

    uThtā nahīñ hai paañv 'samad' aabla baġhair

    lab pe nahīñ hai harf sadāqat ke mā-sivā

    sharh-e-jamal kije shahadat ke ma-siwa

    husn-e-azal ki baat riwayat ke ma-siwa

    rag rag mein dauDti thi bahaaron ki tazgi

    ab kuchh nahin lahu mein hararat ke ma-siwa

    mani mein Dhaal dijiye ek ek harf ko

    kije magar kalam ibarat ke ma-siwa

    milta nahin jahan mein rang aastan ka

    matam hai karbala mein shahadat ke ma-siwa

    bas ek qayam did pe hai ijtima-e-kul

    mumkin nahin hai hashr qayamat ke ma-siwa

    uThta nahin hai panw 'samad' aabla baghair

    lab pe nahin hai harf sadaqat ke ma-siwa

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now