Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sharik-e-gham banaya bhi nahin hai

Umood Abrar Ahmad

sharik-e-gham banaya bhi nahin hai

Umood Abrar Ahmad

MORE BYUmood Abrar Ahmad

    sharīk-e-ġham banāyā bhī nahīñ hai

    tujhe tujh se churāyā bhī nahīñ hai

    ye sāz-e-ishq maiñ ne raqs kar ke

    abhī dil ko sunāyā bhī nahīñ hai

    tirī tasvīr se bāteñ bahut kiiñ

    magar tujh ko batāyā bhī nahīñ hai

    abhī raste hamāre ham-nashīñ haiñ

    abhī ghar ko sajāyā bhī nahīñ hai

    mohabbat qarz hai is dil pe tere

    jise ne chukāyā bhī nahīñ hai

    bahut jaage tumhārī yaad meñ ham

    magar tum ko jagāyā bhī nahīñ hai

    tire dil meñ mohabbat sitārā

    abhī to jagmagāyā bhī nahīñ hai

    sharik-e-gham banaya bhi nahin hai

    tujhe tujh se churaya bhi nahin hai

    ye saz-e-ishq main ne raqs kar ke

    abhi dil ko sunaya bhi nahin hai

    teri taswir se baaten bahut kin

    magar tujh ko bataya bhi nahin hai

    abhi raste hamare ham-nashin hain

    abhi ghar ko sajaya bhi nahin hai

    mohabbat qarz hai is dil pe tere

    jise tu ne chukaya bhi nahin hai

    bahut jage tumhaari yaad mein hum

    magar tum ko jagaya bhi nahin hai

    tere dil mein mohabbat ka sitara

    abhi to jagmagaya bhi nahin hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now