Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sharik-e-haal-e-dil-e-be-qarar aaj bhi hai

Aleem Akhtar muzaffarnagri

sharik-e-haal-e-dil-e-be-qarar aaj bhi hai

Aleem Akhtar muzaffarnagri

MORE BYAleem Akhtar muzaffarnagri

    sharīk-e-hāl-e-dil-e-be-qarār aaj bhī hai

    kisī yaad mirī ġham-gusār aaj bhī hai

    mujhe to kal bhī na thā un par iḳhtiyār koī

    aur un ko mujh pe vahī iḳhtiyār aaj bhī hai

    tirī taraf se zuhūr-e-karam nahīñ na sahī

    tire karam mujhe e'tibār aaj bhī hai

    vo rasm-e-shauq kahāñ ab magar ye aalam hai

    ki jaise dil ko tirā intizār aaj bhī hai

    kisī naqsh-e-kaf-e-pā to ab kahāñ lekin

    nishān-e-sajda sar-e-rahguzār aaj bhī hai

    vo un ġham ki nigāheñ badal chukā 'aḳhtar'

    kamāl-e-shauq parvardigār aaj bhī hai

    sharik-e-haal-e-dil-e-be-qarar aaj bhi hai

    kisi ki yaad meri gham-gusar aaj bhi hai

    mujhe to kal bhi na tha un par iKHtiyar koi

    aur un ko mujh pe wahi iKHtiyar aaj bhi hai

    teri taraf se zuhur-e-karam nahin na sahi

    tere karam ka mujhe e'tibar aaj bhi hai

    wo rasm-e-shauq kahan ab magar ye aalam hai

    ki jaise dil ko tera intizar aaj bhi hai

    kisi ka naqsh-e-kaf-e-pa to ab kahan lekin

    nishan-e-sajda sar-e-rahguzar aaj bhi hai

    wo un ka gham ki nigahen badal chuka 'aKHtar'

    kamal-e-shauq ka parwardigar aaj bhi hai

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    sharik-e-haal-e-dil-e-be-qarar aaj bhi hai Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now