Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sharir-o-shoKH nariyan kimad belti huin

Masood Ahmad

sharir-o-shoKH nariyan kimad belti huin

Masood Ahmad

MORE BYMasood Ahmad

    sharīr-o-shoḳh nāriyāñ kimād beltī huiiñ

    vo guḌ garm bheliyoñ ke saath kheltī huiiñ

    gulāb jaisī sūrateñ vo chāñd jaisī mūrateñ

    vo talḳhī-e-hayāt ko hañsī se jheltī huiiñ

    chaTān jaisī laḌkiyāñ vo saḳht-jān laḌkiyāñ

    vo zindagī beḌiyāñ bhañvar meñ Theltī huiiñ

    nikal paḌī haiñ ḳhvāb meñ samundaroñ sair ko

    vo niile gahre aab ko pare dhakeltī huiiñ

    ye vaqt hai zavāl vabāl malāl

    hamāre sar pe āfateñ haiñ DañD peltī huiiñ

    ajab sansanāhaTeñ vo vāhimoñ āhaTeñ

    havā.iyāñ haiñ aañkh meñ lahū uñDeltī huiiñ

    vo razmiya kahāniyāñ sarāb kāmrāniyāñ

    qulābe āsmān ke zamīñ se meltī huiiñ

    sharir-o-shoKH nariyan kimad belti huin

    wo guD ki garm bheliyon ke sath khelti huin

    gulab jaisi suraten wo chand jaisi muraten

    wo talKHi-e-hayat ko hansi se jhelti huin

    chaTan jaisi laDkiyan wo saKHt-jaan laDkiyan

    wo zindagi ki beDiyan bhanwar mein Thelti huin

    nikal paDi hain KHwab mein samundaron ki sair ko

    wo nile gahre aab ko pare dhakelti huin

    ye waqt hai zawal ka wabaal ka malal ka

    hamare sar pe aafaten hain DanD pelti huin

    ajab si sansanahaTen wo wahimon ki aahaTen

    hawaiyan hain aankh mein lahu unDelti huin

    wo razmiya kahaniyan sarab kaamraniyan

    qulabe aasman ke zamin se melti huin

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now