Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sharm ki surKHi se raushan raaz ke ham-raaz hain

Misdaque Azmi

sharm ki surKHi se raushan raaz ke ham-raaz hain

Misdaque Azmi

MORE BYMisdaque Azmi

    sharm surḳhī se raushan raaz ke ham-rāz haiñ

    ham mohabbat naam āvāz ke ham-rāz haiñ

    silsila afvāh kaise thame is shahr meñ

    aap ke ham-rāz ke ham-rāz ke ham-rāz haiñ

    ek khiḌkī us mahal shab meñ khultī hai zarūr

    chand charvāhe agar shahnāz ke ham-rāz haiñ

    āj-kal jo āsmāñ chhūne zid par haiñ aḌe

    aise ham sāhib-e-parvāz ke ham-rāz haiñ

    baat karte bulandī pata chal jā.egā

    vo kisī kargas ke shahbāz ke ham-rāz haiñ

    dard meñ Duube hue alfāz ye kahne lage

    mere naġhme ik shikasta saaz ke ham-rāz haiñ

    yuuñ ġham-e-jāñ ko bahā dete haiñ āñkhoñ se yahāñ

    log kitne be-tuke andāz ke ham-rāz haiñ

    sharm ki surKHi se raushan raaz ke ham-raaz hain

    hum mohabbat nam ki aawaz ke ham-raaz hain

    silsila afwah ka kaise thame is shahr mein

    aap ke ham-raaz ke ham-raaz ke ham-raaz hain

    ek khiDki us mahal ki shab mein khulti hai zarur

    chand charwahe agar shahnaz ke ham-raaz hain

    aaj-kal jo aasman chhune ki zid par hain aDe

    aise hi hum sahib-e-parwaz ke ham-raaz hain

    baat karte hi bulandi ka pata chal jaega

    wo kisi kargas ke ya shahbaz ke ham-raaz hain

    dard mein Dube hue alfaz ye kahne lage

    mere naghme ek shikasta saz ke ham-raaz hain

    yun gham-e-jaan ko baha dete hain aankhon se yahan

    log kitne be-tuke andaz ke ham-raaz hain

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now