Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sharmae yun ashk nikal ke

Hakim Mazhar Subhan Usmani

sharmae yun ashk nikal ke

Hakim Mazhar Subhan Usmani

MORE BYHakim Mazhar Subhan Usmani

    sharmā.e yuuñ ashk nikal ke

    jaise kisī āñchal Dhalke

    dekh liyā saaqī ne hañs ke

    chhalke vo paimāne chhalke

    merī un raah meñ duniyā

    aksar aa.ī bhes badal ke

    apnī nigāh-e-nāz se pūchho

    kyoñ mirī aañkh se aañsū chhalke

    un āñkhoñ meñ aañsū jaise

    paanī meñ do phuul kañval ke

    jab bhī dekhā un dāman

    aañkh meñ rah ga.e ashk machal ke

    husn ashk-ālūda āñkheñ

    jaise kaTore gangā-jal ke

    dekheñ rāh-e-ishq meñ 'zaḳhmī'

    kyā hotā hai aage chal ke

    sharmae yun ashk nikal ke

    jaise kisi ka aanchal Dhalke

    dekh liya saqi ne hans ke

    chhalke wo paimane chhalke

    meri un ki rah mein duniya

    aksar aai bhes badal ke

    apni nigah-e-naz se puchho

    kyon meri aankh se aansu chhalke

    un aankhon mein aansu jaise

    pani mein do phul kanwal ke

    jab bhi dekha un ka daman

    aankh mein rah gae ashk machal ke

    husn ki ashk-aluda aankhen

    jaise kaTore ganga-jal ke

    dekhen rah-e-ishq mein 'zaKHmi'

    kya hota hai aage chal ke

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now