Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sharminda hum junun se hain ek ek tar ke

Tabish Dehlvi

sharminda hum junun se hain ek ek tar ke

Tabish Dehlvi

MORE BYTabish Dehlvi

    sharminda ham junūñ se haiñ ek ek taar ke

    kyā kījiye ki din haiñ abhī tak bahār ke

    ai umr-e-shauq dekhiye miltā hai kyā javāb

    ham ne kisī naam liyā hai pukār ke

    sar-gashta-e-alam ho ki shorīda-sar koī

    ehsāñ haiñ ahl-e-shauq pe dīvār-e-yār ke

    allāh re intizār-e-bahārāñ lazzateñ

    guzrī hai yuuñ ḳhizāñ bhī ki din hoñ bahār ke

    'tābish' sukūn-e-dard se taskīn-e-marg tak

    dil ho agar to laakh haiñ pahlū qarār ke

    sharminda hum junun se hain ek ek tar ke

    kya kijiye ki din hain abhi tak bahaar ke

    ai umr-e-shauq dekhiye milta hai kya jawab

    hum ne kisi ka nam liya hai pukar ke

    sar-gashta-e-alam ho ki shorida-sar koi

    ehsan hain ahl-e-shauq pe diwar-e-yar ke

    allah re intizar-e-bahaaran ki lazzaten

    guzri hai yun KHizan bhi ki din hon bahaar ke

    'tabish' sukun-e-dard se taskin-e-marg tak

    dil ho agar to lakh hain pahlu qarar ke

    Source :
    • Book : Naya daur (Pg. 250)
    • Author : Qamar Sultana
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now