Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sharminda kiya jauhar-e-baaligh-nazri ne

Wahshat Raza Ali Kalkatvi

sharminda kiya jauhar-e-baaligh-nazri ne

Wahshat Raza Ali Kalkatvi

MORE BYWahshat Raza Ali Kalkatvi

    sharminda kiyā jauhar-e-bāliġh-nazrī ne

    is jins ko bāzār meñ pūchhā na kisī ne

    sad shukr kisī nahīñ mohtāj-e-karam meñ

    ehsān kiyā hai tirī bedād-garī ne

    mohtāj thī ā.īne tasvīr sūrat

    tasvīr banāyā mujhe mahfil meñ kisī ne

    gul hañste haiñ ġhunche bhī haiñ labrez-e-tabassum

    kyā un se kahā ke nasīm-e-saharī ne

    māyūs na kar de kahīñ un nigah-e-garm

    ummīd dilā.ī hai mujhe sāda-dilī ne

    mehnat pe mauqūf hai āsā.ish-e-getī

    khoī mirī rāhat mirī rāhat-talabī ne

    'vahshat' maiñ nigāhoñ ke tajassus se huuñ āzād

    ehsān kiyā mujh pe mirī be-hunarī ne

    sharminda kiya jauhar-e-baaligh-nazri ne

    is jins ko bazar mein puchha na kisi ne

    sad shukr kisi ka nahin mohtaj-e-karam mein

    ehsan kiya hai teri bedad-gari ne

    mohtaj thi aaine ki taswir si surat

    taswir banaya mujhe mahfil mein kisi ne

    gul hanste hain ghunche bhi hain labrez-e-tabassum

    kya un se kaha ja ke nasim-e-sahari ne

    mayus na kar de kahin un ki nigah-e-garm

    ummid dilai hai mujhe sada-dili ne

    mehnat hi pe mauquf hai aasaish-e-geti

    khoi meri rahat meri rahat-talabi ne

    'wahshat' main nigahon ke tajassus se hun aazad

    ehsan kiya mujh pe meri be-hunari ne

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    sharminda kiya jauhar-e-baaligh-nazri ne Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now