sharminda unheñ aur bhī ai mere ḳhudā kar
dastār jinheñ dī hai unheñ sar bhī atā kar
luuTā hai sadā jis ne hameñ dost banā kar
ham ḳhush haiñ usī shaḳhs se phir haath milā kar
Dar hai ki na le jaa.e vo ham ko bhī churā kar
ham laa.e haiñ ghar meñ jise mehmān banā kar
ik mauj dabe paañv ta.āqub meñ chalī aa.ī
ham ḳhush the bahut ret kī dīvār banā kar
ham chāheñ ki mil jaa.eñ hameñ Dher se motī
sīḌhī kisī pur-haul samundar meñ lagā kar
darkār ujālā hai magar sahme hue haiñ
kar de na añdherā koī bārūd jalā kar
le is ne tirā kāsa-e-jāñ toḌ hī Daalā
jā kūcha-e-qātil meñ 'qatīl' aur sadā kar
sharminda unhen aur bhi ai mere KHuda kar
dastar jinhen di hai unhen sar bhi ata kar
luTa hai sada jis ne hamein dost bana kar
hum KHush hain usi shaKHs se phir hath mila kar
Dar hai ki na le jae wo hum ko bhi chura kar
hum lae hain ghar mein jise mehman bana kar
ek mauj dabe panw taaqub mein chali aai
hum KHush the bahut ret ki diwar bana kar
hum chahen ki mil jaen hamein Dher se moti
siDhi kisi pur-haul samundar mein laga kar
darkar ujala hai magar sahme hue hain
kar de na andhera koi barud jala kar
le is ne tera kasa-e-jaan toD hi Dala
ja kucha-e-qatil mein 'qatil' aur sada kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.