Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sharmindagi-e-dil ko chhupaoge kahan tak

Raziya Subhan

sharmindagi-e-dil ko chhupaoge kahan tak

Raziya Subhan

MORE BYRaziya Subhan

    sharmindagī-e-dil ko chhupāoge kahāñ tak

    aahoñ rasā.ī hai zamīñ aur zamāñ tak

    bin us ke hai dushvār yahāñ saañs bhī lenā

    aayā hai koī dil meñ utar kar rag-e-jāñ tak

    kānoñ meñ vo amrit utar jaatā hai ban kar

    tāsīr masīhā.ī aa.e jo zabāñ tak

    har dil meñ tamannā to har ik aañkh meñ hasrat

    shaidā.ī-e-ulfat hai yahāñ pīr-o-javāñ tak

    mahrūm nazar hai mirā zaḳhmoñ se bharā dil

    hāsil hai hameñ daad faqat zor-e-bayāñ tak

    gardan ye kisī taur kabhī bach na sakegī

    aa jā.egī jis roz qazā nok-e-sināñ tak

    jis roz yaqīñ aa.egā mar jā.eñge us din

    rahne do mohabbat ko yūñhī vahm-o-gumāñ tak

    sharmindagi-e-dil ko chhupaoge kahan tak

    aahon ki rasai hai zamin aur zaman tak

    bin us ke hai dushwar yahan sans bhi lena

    aaya hai koi dil mein utar kar rag-e-jaan tak

    kanon mein wo amrit sa utar jata hai ban kar

    tasir masihai ki aae jo zaban tak

    har dil mein tamanna to har ek aankh mein hasrat

    shaidai-e-ulfat hai yahan pir-o-jawan tak

    mahrum nazar hai mera zaKHmon se bhara dil

    hasil hai hamein dad faqat zor-e-bayan tak

    gardan ye kisi taur kabhi bach na sakegi

    aa jaegi jis roz qaza nok-e-sinan tak

    jis roz yaqin aaega mar jaenge us din

    rahne do mohabbat ko yunhi wahm-o-guman tak

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now