shauq ab takmil ko pahuncha mera
shauq ab takmīl ko pahuñchā mirā
dekh kaisā zard hai chehra mirā
mutma.in thī maiñ manā lūñgī use
ġhair kyoñ suljhā gayā jhagḌā mirā
ham-safar har gaam par milte rahe
dil magar aksar rahā tanhā mirā
merī vahshat to ḳhudā ke bas kī na.iiñ
ishq se phir kaam kyā bantā mirā
jiit kar bhī hai raqīboñ ko gila
ḳhatm hotā hī nahīñ charchā mirā
shauq ab takmil ko pahuncha mera
dekh kaisa zard hai chehra mera
mutmain thi main mana lungi use
ghair kyon suljha gaya jhagDa mera
ham-safar har gam par milte rahe
dil magar aksar raha tanha mera
meri wahshat to KHuda ke bas ki nain
ishq se phir kaam kya banta mera
jit kar bhi hai raqibon ko gila
KHatm hota hi nahin charcha mera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.