shauq apna aap main apni zaban se kyun kahun
shauq apnā aap maiñ apnī zabāñ se kyuuñ kahūñ
dil jo kuchh kahtā hai vo us bad-gumāñ se kyuuñ kahūñ
tum samajh lo soch lo tum taaḌ lo pahchān lo
baat apne dil kī maiñ apnī zabāñ se kyuuñ kahūñ
kaan meñ sun lo idhar aa kar mirī ik baat tum
tum se kuchh kahtā huuñ maiñ saare jahāñ se kyuuñ kahūñ
dāstāñ avval se suniye merī sunñī hai agar
aap kahte haiñ jahāñ se maiñ vahāñ se kyuuñ kahūñ
kaan meñ chupke se 'beḳhud' jo kahā hai yaar ne
rashk aatā hai mujhe vo rāz-dāñ se kyuuñ kahūñ
shauq apna aap main apni zaban se kyun kahun
dil jo kuchh kahta hai wo us bad-guman se kyun kahun
tum samajh lo soch lo tum taD lo pahchan lo
baat apne dil ki main apni zaban se kyun kahun
kan mein sun lo idhar aa kar meri ek baat tum
tum se kuchh kahta hun main sare jahan se kyun kahun
dastan awwal se suniye meri sunni hai agar
aap kahte hain jahan se main wahan se kyun kahun
kan mein chupke se 'beKHud' jo kaha hai yar ne
rashk aata hai mujhe wo raaz-dan se kyun kahun
- Book : Intekhab-e-Sukhan(Jild-2) (Pg. 170)
- Author : Hasrat Mohani
- Publication : uttar pradesh urdu academy (1983)
- Edition : 1983
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.