shauq didar tak kahan pahuncha
shauq dīdār tak kahāñ pahuñchā
husn me.aar tak kahāñ pahuñchā
jal bujhā aap apnī dhuup meñ shauq
terī dīvār tak kahāñ pahuñchā
terī nazroñ ne rāsta na diyā
hausla daar tak kahāñ pahuñchā
shām-e-gesū-e-yār kā maarā
sub.h-e-ruḳhsār tak kahāñ pahuñchā
sehr bhī apnī ḳhush-navā.ī kā
us kī guftār tak kahāñ pahuñchā
mudda.ā dil kā aaj bhī 'nāzim'
lab-e-iz.hār tak kahāñ pahuñchā
shauq didar tak kahan pahuncha
husn mear tak kahan pahuncha
jal bujha aap apni dhup mein shauq
teri diwar tak kahan pahuncha
teri nazron ne rasta na diya
hausla dar tak kahan pahuncha
sham-e-gesu-e-yar ka mara
subh-e-ruKHsar tak kahan pahuncha
sehr bhi apni KHush-nawai ka
us ki guftar tak kahan pahuncha
muddaa dil ka aaj bhi 'nazim'
lab-e-izhaar tak kahan pahuncha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.