shauq-e-awara dasht-o-dar se hai
shauq-e-āvāra dasht-o-dar se hai
tohmat-e-sañg zaḳhm-e-sar se hai
jaada rāh-e-bahisht ham ko nadīm
ye iram gard-e-rahguzar se hai
ābloñ se nigār-e-sahrā hai
rishta-e-ġham payāmbar se hai
ab ḳharābī se haiñ dar-o-dīvār
ab jaras jāda-e-safar se hai
ranj-e-be-chārgī shab-e-ġham se
bazm-e-mai muzhda-e-sahar se hai
shauq-e-awara dasht-o-dar se hai
tohmat-e-sang zaKHm-e-sar se hai
jada rah-e-bahisht hum ko nadim
ye iram gard-e-rahguzar se hai
aablon se nigar-e-sahra hai
rishta-e-gham payambar se hai
ab KHarabi se hain dar-o-diwar
ab jaras jada-e-safar se hai
ranj-e-be-chaargi shab-e-gham se
bazm-e-mai muzhda-e-sahar se hai
- Book : Taqdeer-e-hina (Pg. 51)
- Author : Arshi Bhopali
- Publication : Hind Offset Printers, Bhopal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.