shauq-e-didar mera aur bhi afza na karen
shauq-e-dīdār mirā aur bhī afzā na kareñ
mehrbāñ sāmne aa.eñ zarā parda na kareñ
vo to kuchh ho hī ga.ī tum se mohabbat varna
ham vo ḳhud-sar haiñ ki apnī bhī tamannā na kareñ
phir na ho jaa.eñ kahīñ dil meñ tamannā.eñ javāñ
ġhaur se itnā hameñ aap to dekhā na kareñ
aap ke tarz-e-ināyat se samajh jā.eñge
barsar-e-bazm hameñ aap yuuñ rusvā na kareñ
hurmat-e-ishq salāmat rahe dekheñ apne
jazba-e-dil kā kisī haal meñ saudā na kareñ
ham bhī bah jaa.eñ na jazbāt ke dhāre meñ kahīñ
husn ko apne kisī taur huvaidā na kareñ
TuuT bhī sakte haiñ 'zaryāb' ye nāzuk rishte
sāmne us ke kabhī shikva-e-bejā na kareñ
shauq-e-didar mera aur bhi afza na karen
mehrban samne aaen zara parda na karen
wo to kuchh ho hi gai tum se mohabbat warna
hum wo KHud-sar hain ki apni bhi tamanna na karen
phir na ho jaen kahin dil mein tamannaen jawan
ghaur se itna hamein aap to dekha na karen
aap ke tarz-e-inayat se samajh jaenge
barsar-e-bazm hamein aap yun ruswa na karen
hurmat-e-ishq salamat rahe dekhen apne
jazba-e-dil ka kisi haal mein sauda na karen
hum bhi bah jaen na jazbaat ke dhaare mein kahin
husn ko apne kisi taur huwaida na karen
TuT bhi sakte hain 'zaryab' ye nazuk rishte
samne us ke kabhi shikwa-e-beja na karen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.