shauq-e-didar ne kya kya na tamasha dekha
shauq-e-dīdār ne kyā kyā na tamāshā dekhā
jān-e-man kaise batā.eñ tumheñ kyā kyā dekhā
zindagī aag hai aur aag kī ḳhātir ham ne
diip kī aañkh meñ jaltā huā chehra dekhā
maiñ ne lamhoñ meñ guzārī haiñ hazāroñ sadiyāñ
vaqt kī dhuup meñ pighlā huā dariyā dekhā
sub.h-e-raushan ne utārī haiñ sitāra āñkheñ
shāḳh-e-shamshād ne gulshan kā darīcha dekhā
rāz-e-hastī meñ zamīñ saarī tasavvur niklī
āsmāñ apne taḳhayyul kā sahīfa dekhā
dāġh-e-dāman ko uThā.e hue phirtī hai havā
dhuul hī dhuul huā saarā vo rasta dekhā
gul kī āñkhoñ meñ machaltī huī yādeñ us kī
rang-o-āhang se badaltā huā shīsha dekhā
shauq-e-didar ne kya kya na tamasha dekha
jaan-e-man kaise bataen tumhein kya kya dekha
zindagi aag hai aur aag ki KHatir hum ne
dip ki aankh mein jalta hua chehra dekha
main ne lamhon mein guzari hain hazaron sadiyan
waqt ki dhup mein pighla hua dariya dekha
subh-e-raushan ne utari hain sitara aankhen
shaKH-e-shamshad ne gulshan ka daricha dekha
raaz-e-hasti mein zamin sari tasawwur nikli
aasman apne taKHayyul ka sahifa dekha
dagh-e-daman ko uThae hue phirti hai hawa
dhul hi dhul hua sara wo rasta dekha
gul ki aankhon mein machalti hui yaaden us ki
rang-o-ahang se badalta hua shisha dekha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.