shauq-e-dil-e-warafta ka ek said-e-zabun hun!
shauq-e-dil-e-vārafta kā ik said-e-zabūñ huuñ!
khultā hī nahīñ bhed ki maiñ kaun huuñ kyuuñ huuñ
bas meñ hai kahāñ ahl-e-ḳhirad ke mujhe samjheñ
jo aañkh se ojhal hai maiñ vo aks-e-darūñ huuñ
ḳhāliq huuñ bahāroñ kā sar-e-gulshan-e-hastī
jo phuul khilātā hai vo ik mauja-e-ḳhūñ huuñ
maiñ dast-e-zamāna ke miTā.e na miTūñgā
ik naqsh-e-vafā huuñ ki sar-e-lauh-e-junūñ huuñ
sahbā-e-haqīqat kā huuñ sarmast azal se
ik banda-e-āzād-e-tilismāt-o-fusūñ huuñ
de mujh ko duā terī talabgār hai duniyā
tū jo mujhe samjhā hai maiñ kuchh us se fuzūñ huuñ
'nāsir' mujhe ulfat hai kisī se to ḳhatā kyaa?
maiñ halqa-e-arbāb-e-havas se to barūñ huuñ
shauq-e-dil-e-warafta ka ek said-e-zabun hun!
khulta hi nahin bhed ki main kaun hun kyun hun
bas mein hai kahan ahl-e-KHirad ke mujhe samjhen
jo aankh se ojhal hai main wo aks-e-darun hun
KHaliq hun bahaaron ka sar-e-gulshan-e-hasti
jo phul khilata hai wo ek mauja-e-KHun hun
main dast-e-zamana ke miTae na miTunga
ek naqsh-e-wafa hun ki sar-e-lauh-e-junun hun
sahba-e-haqiqat ka hun sarmast azal se
ek banda-e-azad-e-tilismat-o-fusun hun
de mujh ko dua teri talabgar hai duniya
tu jo mujhe samjha hai main kuchh us se fuzun hun
'nasir' mujhe ulfat hai kisi se to KHata kya?
main halqa-e-arbab-e-hawas se to barun hun
- Book : Pakistani Adab (Pg. 697)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.