shauq-e-dil fikr-e-dahan mein hai jo rahbar ki tarah
shauq-e-dil fikr-e-dahan mein hai jo rahbar ki tarah
Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi
MORE BYMunshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi
shauq-e-dil fikr-e-dahan meñ hai jo rahbar kī tarah
DhūñDhtā huuñ chashma-e-haivāñ sikandar kī tarah
merī aahoñ ko abas hai nā-rasā.ī kā gila
dil meñ ghar karnā to sīkheñ yād-e-dilbar kī tarah
sar se pā tak hai misāl-e-gardan-e-taslīm ḳham
kis se hotā hai adab qātil kā ḳhanjar kī tarah
thā jo vaqt-e-qatl armān-e-ham-āġhoshī mujhe
ḳhuuñ kī chhīñTeñ lipTī haiñ ḳhanjar se jauhar kī tarah
dard-e-dil uTh uTh ke Dhātā hai qayāmat jaan par
shām-e-hijr-e-āshiqāñ hai sub.h-e-mahshar kī tarah
dil ko āñkhoñ ne sujhā.ī haiñ jo rāheñ ishq kī
har jagah mujh ko liye phirtā hai rahbar kī tarah
yād-e-gesū ik balā-e-jāñ-sitāñ hai hijr meñ
kaaTe khātā hai mirā ghar mujh ko azhdar kī tarah
is ko lutf-e-dard us ko lazzat-e-mashq-e-jafā
dil kī aadat bigḌī hai ḳhū-e-sitamgar kī tarah
un kī aamad kī ḳhabar sun kar hujūm-e-shauq se
kashmakash hai ḳhāna-e-dil meñ bhare ghar kī tarah
misl-e-dīvāna phirā kartā hai kyoñ ye roz-o-shab
āsmāñ ko bhī hai kyā saudā mire sar kī tarah
aap kī ġhaflat se saarī ārzūeñ mar ga.iiñ
dil mirā vīrān hai ujḌe hue ghar kī tarah
ban ke shabnam laakh Tapkeñ chashm-e-aḳhtar se sarishk
ro.egā kyā āsmāñ us dīda-e-tar kī tarah
TukḌe TukḌe dil jigar haiñ tez fiqroñ se huzūr
aap kī teġh-e-zabāñ chaltī hai ḳhanjar kī tarah
raah meñ dil nīchī nazroñ se huā jaatā hai zab.h
jhuk ke bhī chaltā hai vo qātil to ḳhanjar kī tarah
shukr-e-ḳhāliq hai ki be-minnat maiñ hotā huuñ shahīd
dil ko yād-e-abrū-e-qātil hai ḳhanjar kī tarah
tauba tauba kyā ġhazab saaqī kī ġhaflat ne kiyā
sab kī sūrat dekhtā huuñ riñd-e-be-zar kī tarah
hijr-e-sāqī meñ nazar aayā kahīñ gar shaġhl-e-mai
DabDabā.e dīda-e-tar chashm-e-sāġhar kī tarah
ārzū-e-vasl-e-qātil itnī hai mujh zaar ko
huuñ hama-tan sūrat-e-āġhosh ḳhanjar kī tarah
ai 'nazar' ishq-e-miyān-e-yār kā hai ye asar
jism-e-lāġhar jo nihāñ hai jaañ ke jauhar kī tarah
shauq-e-dil fikr-e-dahan mein hai jo rahbar ki tarah
DhunDhta hun chashma-e-haiwan sikandar ki tarah
meri aahon ko abas hai na-rasai ka gila
dil mein ghar karna to sikhen yaad-e-dilbar ki tarah
sar se pa tak hai misal-e-gardan-e-taslim KHam
kis se hota hai adab qatil ka KHanjar ki tarah
tha jo waqt-e-qatl arman-e-ham-aghoshi mujhe
KHun ki chhinTen lipTi hain KHanjar se jauhar ki tarah
dard-e-dil uTh uTh ke Dhata hai qayamat jaan par
sham-e-hijr-e-ashiqan hai subh-e-mahshar ki tarah
dil ko aankhon ne sujhai hain jo rahen ishq ki
har jagah mujh ko liye phirta hai rahbar ki tarah
yaad-e-gesu ek bala-e-jaan-sitan hai hijr mein
kaTe khata hai mera ghar mujh ko azhdar ki tarah
is ko lutf-e-dard us ko lazzat-e-mashq-e-jafa
dil ki aadat bigDi hai KHu-e-sitamgar ki tarah
un ki aamad ki KHabar sun kar hujum-e-shauq se
kashmakash hai KHana-e-dil mein bhare ghar ki tarah
misl-e-diwana phira karta hai kyon ye roz-o-shab
aasman ko bhi hai kya sauda mere sar ki tarah
aap ki ghaflat se sari aarzuen mar gain
dil mera viran hai ujDe hue ghar ki tarah
ban ke shabnam lakh Tapken chashm-e-aKHtar se sarishk
roega kya aasman us dida-e-tar ki tarah
TukDe TukDe dil jigar hain tez fiqron se huzur
aap ki tegh-e-zaban chalti hai KHanjar ki tarah
rah mein dil nichi nazron se hua jata hai zabh
jhuk ke bhi chalta hai wo qatil to KHanjar ki tarah
shukr-e-KHaliq hai ki be-minnat main hota hun shahid
dil ko yaad-e-abru-e-qatil hai KHanjar ki tarah
tauba tauba kya ghazab saqi ki ghaflat ne kiya
sab ki surat dekhta hun rind-e-be-zar ki tarah
hijr-e-saqi mein nazar aaya kahin gar shaghl-e-mai
DabDabae dida-e-tar chashm-e-saghar ki tarah
aarzu-e-wasl-e-qatil itni hai mujh zar ko
hun hama-tan surat-e-aghosh KHanjar ki tarah
ai 'nazar' ishq-e-miyan-e-yar ka hai ye asar
jism-e-laghar jo nihan hai jaan ke jauhar ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.