shauq-e-sairabi ki dhun mein tishnagi marwaegi
shauq-e-sairābī kī dhun meñ tishnagī marvā.egī
mujh ko tere 'ishq meñ ye āgahī marvā.egī
yuuñ ragoñ meñ chīḳhtā phirtā hai ik sail-e-junūñ
bol varna ye musalsal ḳhāmushī marvā.egī
ḳhushbūoñ se dasht mahkātā rahā maiñ shauq se
kyā ḳhabar thī ye mirī shā.istagī marvā.egī
maiñ kahāñ aur ḳhush-gumānī kā ye hangāma kahāñ
mujh ko ab ye ḳhvāhish-e-āsūdgī marvā.egī
daar par tujh ko agar izn-e-takallum ho 'adīb'
un se kah denā tujhe bhī zindagī marvā.egī
shauq-e-sairabi ki dhun mein tishnagi marwaegi
mujh ko tere 'ishq mein ye aagahi marwaegi
yun ragon mein chiKHta phirta hai ek sail-e-junun
bol warna ye musalsal KHamushi marwaegi
KHushbuon se dasht mahkata raha main shauq se
kya KHabar thi ye meri shaistagi marwaegi
main kahan aur KHush-gumani ka ye hangama kahan
mujh ko ab ye KHwahish-e-asudgi marwaegi
dar par tujh ko agar izn-e-takallum ho 'adib'
un se kah dena tujhe bhi zindagi marwaegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.