Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shauq ki kya hai ada dekh le parwane mein

Syed Ghayasuddin Saleem

shauq ki kya hai ada dekh le parwane mein

Syed Ghayasuddin Saleem

MORE BYSyed Ghayasuddin Saleem

    shauq kyā hai adā dekh le parvāne meñ

    jis ko tāḳhīr gavārā nahīñ miT jaane meñ

    ruḳh pe vahshat namī āñkhoñ meñ laboñ par aaheñ

    kis ke ġham se machī halchal hai ye dīvāne meñ

    vo nazar aa.eñ to phir kaun kisī ko dekhe

    imtihāñ to hai vafā na nazar aane meñ

    vaj.h-e-taskīñ hai agar kuchh to hai ḳhushnūdī terī

    kyā kashish ahl-e-mohabbat ko jazā paane meñ

    un ke qurbāñ ki hameñ raah dikhā ghar

    kyā halākat ke sivā aur thā vīrāne meñ

    qalb-o-jāñ fikr-e-do-ālam se rihā.ī leñ

    bhar de saaqī mai-e-vahdat mire paimāne meñ

    saath īmān ke jaa.eñ 'salīm' is se najāt

    mutma.in kaun hai duniyā ke balā-ḳhāne meñ

    shauq ki kya hai ada dekh le parwane mein

    jis ko taKHir gawara nahin miT jaane mein

    ruKH pe wahshat nami aankhon mein labon par aahen

    kis ke gham se machi halchal hai ye diwane mein

    wo nazar aaen to phir kaun kisi ko dekhe

    imtihan to hai wafa ka na nazar aane mein

    wajh-e-taskin hai agar kuchh to hai KHushnudi teri

    kya kashish ahl-e-mohabbat ko jaza pane mein

    un ke qurban ki hamein rah dikha di ghar ki

    kya halakat ke siwa aur tha virane mein

    qalb-o-jaan fikr-e-do-alam se rihai pa len

    bhar de saqi mai-e-wahdat mere paimane mein

    sath iman ke pa jaen 'salim' is se najat

    mutmain kaun hai duniya ke bala-KHane mein

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now