shauq mein haal se behaal hue jate hain
shauq meñ haal se behāl hue jaate haiñ
ham tirī raah meñ pāmāl hue jaate haiñ
kyā sitam hai ki tire hijr meñ rafta-rafta
ab shab-o-roz mah-o-sāl hue jaate haiñ
aap kī yaad ne phir aa ke mujhe chheḌ diyā
aaj phir ashk-e-vafā laal hue jaate haiñ
kahiye kyā un ke muqaddar ko zahe baḳht-e-rasā
tere qadmoñ meñ jo pāmāl hue jaate haiñ
nā-murādī meñ ye asbāb-e-farāġhat 'razmī'
zindagī ke liye janjāl hue jaate haiñ
shauq mein haal se behaal hue jate hain
hum teri rah mein pamal hue jate hain
kya sitam hai ki tere hijr mein rafta-rafta
ab shab-o-roz mah-o-sal hue jate hain
aap ki yaad ne phir aa ke mujhe chheD diya
aaj phir ashk-e-wafa lal hue jate hain
kahiye kya un ke muqaddar ko zahe baKHt-e-rasa
tere qadmon mein jo pamal hue jate hain
na-muradi mein ye asbab-e-faraghat 'razmi'
zindagi ke liye janjal hue jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.