shauq se aap ye angrezi dawa bhi lete
shauq se aap ye añgrezī davā bhī lete
ham faqīroñ se magar thoḌī duā bhī lete
is liye hañsne-hañsāne kī banā lī aadat
maiñ jo rotā to ka.ī log mazā bhī lete
tere bikne kī ḳhabar kaash ki pahle hotī
itnī daulat to mirī jaan kamā bhī lete
ab koī biis baras ba.ad ye ehsās huā
chāhte ham to kahīñ haath chhuḌā bhī lete
is qadar bojh thā dil par hameñ marnā hī paḌā
zahr thoḌā sā jo hotā to pachā bhī lete
shauq se aap ye angrezi dawa bhi lete
hum faqiron se magar thoDi dua bhi lete
is liye hansne-hansane ki bana li aadat
main jo rota to kai log maza bhi lete
tere bikne ki KHabar kash ki pahle hoti
itni daulat to meri jaan kama bhi lete
ab koi bis baras baad ye ehsas hua
chahte hum to kahin hath chhuDa bhi lete
is qadar bojh tha dil par hamein marna hi paDa
zahr thoDa sa jo hota to pacha bhi lete
- Book : Barso.n Baad (Pg. 8)
- Author : Haseeb soz
- Publication : Lamhe lamhe Publications, Imam bara Alapur,Badaun (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.