shauq se ishq ke marahil tak
shauq se 'ishq ke marāhil tak
ḳhuun rote haiñ hazrat-e-dil tak
qatra-qatra safīr-e-tūfāñ hai
abr-e-bārāñ se mauj-e-sāhil tak
sar pe saaya rahā umīdoñ kā
ḳhaak uḌtī rahī manāzil tak
tarz-e-fariyād sher-o-naġhma bhī
sa’i-e-iz.hār raqs-e-bismil tak
ek duniyā luTā ke aaya huuñ
apnī manzil se terī manzil tak
kyoñ charāġhāñ 'na'īm' karte ho
kaun aa.egā ḳhalvat-e-dil tak
shauq se 'ishq ke marahil tak
KHun rote hain hazrat-e-dil tak
qatra-qatra safir-e-tufan hai
abr-e-baran se mauj-e-sahil tak
sar pe saya raha umidon ka
KHak uDti rahi manazil tak
tarz-e-fariyaad sher-o-naghma bhi
sa’i-e-izhaar raqs-e-bismil tak
ek duniya luTa ke aaya hun
apni manzil se teri manzil tak
kyon charaghan 'na'im' karte ho
kaun aaega KHalwat-e-dil tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.