shauq se nakaami ki badaulat kucha-e-dil hi chhuT gaya
shauq se nākāmī kī badaulat kūcha-e-dil hī chhūT gayā
saarī umīdeñ TuuT ga.iiñ dil baiTh gayā jī chhūT gayā
fasl-e-gul aa.ī yā ajal aa.ī kyuuñ dar-e-zindāñ khultā hai
kyā koī vahshī aur aa pahuñchā yā koī qaidī chhūT gayā
lījiye kyā dāman kī ḳhabar aur dast-e-junūñ ko kyā kahiye
apne hī haath se dil kā dāman muddat guzrī chhūT gayā
manzil-e-ishq pe tanhā pahuñche koī tamannā saath na thī
thak thak kar is raah meñ āḳhir ik ik sāthī chhūT gayā
us ne adū kā sog kiyā yaañ is se vafā kī aas bañdhī
dāġh-e-tamannā rañg-e-hinā kī dekhā-dekhī chhūT gayā
'fānī' ham to jīte-jī vo mayyat haiñ be-gor-o-kafan
ġhurbat jis ko raas na aa.ī aur vatan bhī chhūT gayā
shauq se nakaami ki badaulat kucha-e-dil hi chhuT gaya
sari umiden TuT gain dil baiTh gaya ji chhuT gaya
fasl-e-gul aai ya ajal aai kyun dar-e-zindan khulta hai
kya koi wahshi aur aa pahuncha ya koi qaidi chhuT gaya
lijiye kya daman ki KHabar aur dast-e-junun ko kya kahiye
apne hi hath se dil ka daman muddat guzri chhuT gaya
manzil-e-ishq pe tanha pahunche koi tamanna sath na thi
thak thak kar is rah mein aaKHir ek ek sathi chhuT gaya
us ne adu ka sog kiya yan is se wafa ki aas bandhi
dagh-e-tamanna rang-e-hina ki dekha-dekhi chhuT gaya
'fani' hum to jite-ji wo mayyat hain be-gor-o-kafan
ghurbat jis ko ras na aai aur watan bhi chhuT gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.