shauq un ko hai baghbani ka
shauq un ko hai bāġhbānī kā
qatl karte haiñ rāt-rānī kā
saare mazdūr lauT aa.e haiñ
haal achchhā hai rājdhānī kā
sab ke lahje meñ chiḌchiḌāhaT hai
taste achchhā nahīñ hai paanī kā
log jis ko bayān karte haiñ
maiñ huuñ kirdār is kahānī kā
vaqt apnī jagah pe Thahrā hai
rang badlā hai zindagānī kā
raunaq-e-zīst se jī uub gayā
sher koī sunāo 'fānī' kā
shauq paalo 'nafīs' is kā tum
lutf baalā hai na.at-ḳhvānī kā
shauq un ko hai baghbani ka
qatl karte hain raat-rani ka
sare mazdur lauT aae hain
haal achchha hai rajdhani ka
sab ke lahje mein chiDchiDahaT hai
taste achchha nahin hai pani ka
log jis ko bayan karte hain
main hun kirdar is kahani ka
waqt apni jagah pe Thahra hai
rang badla hai zindagani ka
raunaq-e-zist se ji ub gaya
sher koi sunao 'fani' ka
shauq palo 'nafis' is ka tum
lutf baala hai nat-KHwani ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.