shauq uryan hai bahut jin ke shabistanon mein
shauq uryāñ hai bahut jin ke shabistānoñ meñ
vo mile ham ko hijāboñ ke sanam-ḳhānoñ meñ
khiḌkiyāñ kholo ki dar aa.e koī mauj-e-havā
raakh kā Dher haiñ kuchh log tarab-ḳhānoñ meñ
shahr-e-ḳhurshīd ke logoñ ko ḳhabar do koī
din ke ġham Duub ga.e raat ke paimānoñ meñ
jab koī sā.at-e-shādāb milī jām-ba-kaf
jaan sī paḌ ga.ī bujhte hue armānoñ meñ
ai sabā le ke chalī aa kisī bādal kī phuvār
ḳhaak uḌtī hai bahut dil ke bayābānoñ meñ
ai ġhazālān-e-vatan naaz karo ham pe ki ham
āḳhirī pusht haiñ ḳhūbāñ ke sanā-ḳhvānoñ meñ
shauq uryan hai bahut jin ke shabistanon mein
wo mile hum ko hijabon ke sanam-KHanon mein
khiDkiyan kholo ki dar aae koi mauj-e-hawa
rakh ka Dher hain kuchh log tarab-KHanon mein
shahr-e-KHurshid ke logon ko KHabar do koi
din ke gham Dub gae raat ke paimanon mein
jab koi saat-e-shadab mili jam-ba-kaf
jaan si paD gai bujhte hue armanon mein
ai saba le ke chali aa kisi baadal ki phuwar
KHak uDti hai bahut dil ke bayabanon mein
ai ghazalan-e-watan naz karo hum pe ki hum
aaKHiri pusht hain KHuban ke sana-KHwanon mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.