shawe baDhi hai sakit aankhen bikhre bikhre baal
shave baḌhī hai sākit āñkheñ bikhre bikhre baal
'faḳhr' tū kaise haal meñ gum hai apnā aap sañbhāl
maiñ ne mez pe rakh Daale haiñ taash ke saare patte
ab to apne dil se saare vahm ḳhayāl nikāl
reza-reza TuuT ga.ī shaḳhsiyyat kī dīvār
qatra-qatra bah uTThā hai sochoñ kā sayyāl
mumkin thā ye raaz na khultā lekin merī bhuul
mere coat ke collar par thā us kā lambā baal
mushkil hai ab terā merā bāham mil kar rahnā
mere sāñche meñ tū Dhal yā mujh ko phir se Dhaal
shawe baDhi hai sakit aankhen bikhre bikhre baal
'faKHr' tu kaise haal mein gum hai apna aap sanbhaal
main ne mez pe rakh Dale hain tash ke sare patte
ab to apne dil se sare wahm KHayal nikal
reza-reza TuT gai shaKHsiyyat ki diwar
qatra-qatra bah uTTha hai sochon ka sayyal
mumkin tha ye raaz na khulta lekin meri bhul
mere coat ke collar par tha us ka lamba baal
mushkil hai ab tera mera baham mil kar rahna
mere sanche mein tu Dhal ya mujh ko phir se Dhaal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.