sher ghaD ke sunane paDte hain
she'r ghaḌ ke sunāne paḌte haiñ
yuuñ tumheñ dukh batāne paḌte haiñ
sach kahā hai ye bhulle shah jī ne
yaar nach ke manāne paḌte haiñ
vasl saudā nahīñ hai lamhoñ kā
har qadam par zamāne paḌte haiñ
dil musāfir bhaTak gayā hogā
raah meñ āstāne paḌte haiñ
jaan de kar bhī bint-e-havvā ko
kuchh ta'alluq bachāne paḌte haiñ
jab gulistāñ meñ raushnī kam ho
āshiyāne jalāne paḌte haiñ
she'r ghaD ke sunane paDte hain
yun tumhein dukh batane paDte hain
sach kaha hai ye bhulle shah ji ne
yar nach ke manane paDte hain
wasl sauda nahin hai lamhon ka
har qadam par zamane paDte hain
dil musafir bhaTak gaya hoga
rah mein aastane paDte hain
jaan de kar bhi bint-e-hawwa ko
kuchh ta'alluq bachane paDte hain
jab gulistan mein raushni kam ho
aashiyane jalane paDte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.