sheron mein apna dard raqam kar nahin sake
she'roñ meñ apnā dard raqam kar nahīñ sake
yā'nī shumār apne alam kar nahīñ sake
merī tabāhiyoñ pe haiñ mātam-kunāñ sabhī
ik aap haiñ jo aañkh bhī nam kar nahīñ sake
ham se munāfiqoñ ne kahā saath meñ raho
ham apnī zaat par ye sitam kar nahīñ sake
kahne ko she'r ham ne hazāroñ kahe magar
tum ko kisī ḳhayāl meñ zam kar nahīñ sake
'hamza-bilāl' aap se ummīd hai bahut
vo kījiye jo ahl-e-qalam kar nahīñ sake
she'ron mein apna dard raqam kar nahin sake
ya'ni shumar apne alam kar nahin sake
meri tabahiyon pe hain matam-kunan sabhi
ek aap hain jo aankh bhi nam kar nahin sake
hum se munafiqon ne kaha sath mein raho
hum apni zat par ye sitam kar nahin sake
kahne ko she'r hum ne hazaron kahe magar
tum ko kisi KHayal mein zam kar nahin sake
'hamza-bilal' aap se ummid hai bahut
wo kijiye jo ahl-e-qalam kar nahin sake
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.