sheKH ne naqus ke sur mein jo KHud hi tan li
sheḳh ne nāqūs ke sur meñ jo ḳhud hī taan lī
phir to yāroñ ne bhajan gaane kī khul kar Thaan lī
muddatoñ qaa.im raheñgī ab diloñ meñ garmiyāñ
maiñ ne photo le liyā us ne nazar pahchān lī
ro rahe haiñ dost merī laash par be-iḳhtiyār
ye nahīñ daryāft karte kis ne is kī jaan lī
maiñ to engine kī gale-bāzī kā qaa.il ho gayā
rah ga.e naġhme hudī-ḳhvānoñ ke aisī taan lī
hazrat-e-'akbar' ke istiqlāl kā huuñ mo'tarif
ta-ba-marg us par rahe qaa.im jo dil meñ Thaan lī
sheKH ne naqus ke sur mein jo KHud hi tan li
phir to yaron ne bhajan gane ki khul kar Than li
muddaton qaim rahengi ab dilon mein garmiyan
main ne photo le liya us ne nazar pahchan li
ro rahe hain dost meri lash par be-iKHtiyar
ye nahin daryaft karte kis ne is ki jaan li
main to engine ki gale-bazi ka qail ho gaya
rah gae naghme hudi-KHwanon ke aisi tan li
hazrat-e-'akbar' ke istiqlal ka hun mo'tarif
ta-ba-marg us par rahe qaim jo dil mein Than li
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.