sher-goi ke is aazar mein shal hone tak
sher-goī ke is āzār meñ shal hone tak
mustaqil sochtā rahtā huuñ ġhazal hone tak
terī qurbat se ka.ī raaz khule haiñ mujh par
dil muamma thā mujhe ishq meñ hal hone tak
bistar-e-marg pe huuñ aur ye pūchhūñ sab se
niiñd aa jā.egī kyā sub.h-e-ajal hone tak
dhundhle dhundhle se nazar aate the manzar mujh ko
sinf-e-goyā.ī ko āñkhoñ kā badal hone tak
ḳhaak bas ḳhaak hī hotī hai rag-e-jāñ ke baġhair
hukm bas hukm hī rahtā hai amal hone tak
kitne hāthoñ ko qalam kar diyā jaatā hai yahāñ
turbat-e-ishq ko ik tāj-mahal hone tak
kal mujhe vasl ke imkān bahut haiñ 'harshit'
umr lagtī hai magar aaj se kal hone tak
sher-goi ke is aazar mein shal hone tak
mustaqil sochta rahta hun ghazal hone tak
teri qurbat se kai raaz khule hain mujh par
dil muamma tha mujhe ishq mein hal hone tak
bistar-e-marg pe hun aur ye puchhun sab se
nind aa jaegi kya subh-e-ajal hone tak
dhundhle dhundhle se nazar aate the manzar mujh ko
sinf-e-goyai ko aankhon ka badal hone tak
KHak bas KHak hi hoti hai rag-e-jaan ke baghair
hukm bas hukm hi rahta hai amal hone tak
kitne hathon ko qalam kar diya jata hai yahan
turbat-e-ishq ko ek taj-mahal hone tak
kal mujhe wasl ke imkan bahut hain 'harshit'
umr lagti hai magar aaj se kal hone tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.