Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sher-goi mein sada meyar-e-fan rakkha karo

Akhtar Hashmi

sher-goi mein sada meyar-e-fan rakkha karo

Akhtar Hashmi

MORE BYAkhtar Hashmi

    sher-goī meñ sadā meyār-e-fan rakkhā karo

    aur samundar fikr bhī maujzan rakkhā karo

    vahshateñ tanhā.iyoñ tum ko ghere hoñ agar

    ḳhud apnī zaat meñ ik anjuman rakkhā karo

    mujh ko vaise farq is se kuchh bhī ab paḌnā nahīñ

    be-ruḳhī mujh se rakho merā man rakkhā karo

    ġhībat o buġhz o anā ko chhoḌ do sab ke liye

    bad-gumānī duur kar lo husn-e-zan rakkhā karo

    ye na socho yaar se haiñ naf.a-o-nuqsān kyā

    yaar yādoñ meñ bas ḳhud ko magan rakkhā karo

    jab ḳhirad vāloñ meñ jaao to junūñ bhī saath ho

    apnī dānā.ī meñ kuchh dīvāna-pan rakkhā karo

    us jalva aañkh se to dekhnā mumkin nahīñ

    zehn-o-dil meñ use jalva-fagan rakkhā karo

    jahl aur kufr sab zulmateñ chhañT jā.eñgī

    ka.aba-e-dil ke liye ik barhaman rakkhā karo

    tum ki ‘aḳhtar-hāshmī’ gumnām ho to kyā huā

    ḳhud ko apne vāste mahv-e-suḳhan rakkhā karo

    sher-goi mein sada meyar-e-fan rakkha karo

    aur samundar fikr ka bhi maujzan rakkha karo

    wahshaten tanhaiyon ki tum ko ghere hon agar

    KHud hi apni zat mein ek anjuman rakkha karo

    mujh ko waise farq is se kuchh bhi ab paDna nahin

    be-ruKHi mujh se rakho ya mera man rakkha karo

    ghibat o bughz o ana ko chhoD do sab ke liye

    bad-gumani dur kar lo husn-e-zan rakkha karo

    ye na socho yar se hain nafa-o-nuqsan kya

    yar ki yaadon mein bas KHud ko magan rakkha karo

    jab KHirad walon mein jao to junun bhi sath ho

    apni danai mein kuchh diwana-pan rakkha karo

    us ka jalwa aankh se to dekhna mumkin nahin

    zehn-o-dil mein hi use jalwa-fagan rakkha karo

    jahl ki aur kufr ki sab zulmaten chhanT jaengi

    kaba-e-dil ke liye ek barhaman rakkha karo

    tum ki ‘aKHtar-hashmi’ gumnam ho to kya hua

    KHud ko apne waste mahw-e-suKHan rakkha karo

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now