sher-goi to ek bahana hai
sher-goī to ik bahāna hai
e'tibār-e-suḳhan baḌhānā hai
jis se hoñ fikr ke darīche vā
aisā māhaul ab banānā hai
ho ḳhudī se agar shanāsā.ī
Thokaroñ meñ tirī zamāna hai
kal zamāne ne āzmāyā thā
ab zamāne ko āzmānā hai
us galī kī kashish nahīñ jaatī
yuuñ to har roz ānā-jānā hai
gar tabī.at tirī nahīñ maa.il
phir takallum bhī tāziyāna hai
jī rahā huuñ kisī musāfir sā
sirf uqbā mirā Thikānā hai
jab mazāmīn-e-nau chale aa.eñ
shā.erī ko surūr aanā hai
naqd ho sher ho ki fan-pāra
apnā andāz nāsihānā hai
sher-goi to ek bahana hai
e'tibar-e-suKHan baDhana hai
jis se hon fikr ke dariche wa
aisa mahaul ab banana hai
ho KHudi se agar shanasai
Thokaron mein teri zamana hai
kal zamane ne aazmaya tha
ab zamane ko aazmana hai
us gali ki kashish nahin jati
yun to har roz aana-jaana hai
gar tabiat teri nahin mail
phir takallum bhi taziyana hai
ji raha hun kisi musafir sa
sirf uqba mera Thikana hai
jab mazamin-e-nau chale aaen
shaeri ko surur aana hai
naqd ho sher ho ki fan-para
apna andaz nasihana hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.