sher jab khulta hai khulte hain maani kya kya
sher jab khultā hai khulte haiñ ma.ānī kyā kyā
rāste dete haiñ ik misra-e-sānī kyā kyā
ḳhatm hotī hai samundar pe kabhī sahrā meñ
rāste chuntī hai dariyā kī ravānī kyā kyā
pahle kirdār guzartā hai nazar se koī
moḌ letī hai phir āñkhoñ meñ kahānī kyā kyā
ashk āñkhoñ meñ kasak dil meñ nazar meñ ummīd
ishq detā hai mohabbat meñ nishānī kyā kyā
jaan letā hai kabhī jaan bachā letā hai
fitrateñ rakhtā hai dariyāoñ kā paanī kyā kyā
us kī āñkhoñ kī sharārat kabhī hoñToñ kā jamāl
sāmne aatī haiñ tasvīreñ purānī kyā kyā
sher jab khulta hai khulte hain maani kya kya
raste dete hain ek misra-e-sani kya kya
KHatm hoti hai samundar pe kabhi sahra mein
raste chunti hai dariya ki rawani kya kya
pahle kirdar guzarta hai nazar se koi
moD leti hai phir aankhon mein kahani kya kya
ashk aankhon mein kasak dil mein nazar mein ummid
ishq deta hai mohabbat mein nishani kya kya
jaan leta hai kabhi jaan bacha leta hai
fitraten rakhta hai dariyaon ka pani kya kya
us ki aankhon ki shararat kabhi honTon ka jamal
samne aati hain taswiren purani kya kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.