sher kya hai ghubar-e-KHatir hai
sher kyā hai ġhubār-e-ḳhātir hai
tā.ir-e-fikr kā koī par hai
bhuul sakte ho ḳhud ko paḌh kar ise
ek mantar mujhe jo azbar hai
vādī-e-yād meñ to har jānib
chāñdnī raat kā sā manzar hai
baat kar dekhiye mirā lahja
mere ash.ār se bhī behtar hai
dair-o-ka.aba ke moḌ se aage
baa.eñ muḌ jaa.eñ to mirā ghar hai
Dāliye is pe bojh sajdoñ kā
haañ magar soch kar ki ye sar hai
shaiḳh sāhib na toḌiye is ko
ye mirā dil nahīñ ye sāġhar hai
tum jise puuj lo vo hai bhagvān
maiñ uThā luuñ jise vo patthar hai
kis kī 'rāhat' kī baat karte ho
chhoḌiye vo to ek kāfir hai
sher kya hai ghubar-e-KHatir hai
tair-e-fikr ka koi par hai
bhul sakte ho KHud ko paDh kar ise
ek mantar mujhe jo azbar hai
wadi-e-yaad mein to har jaanib
chandni raat ka sa manzar hai
baat kar dekhiye mera lahja
mere ashaar se bhi behtar hai
dair-o-kaba ke moD se aage
baen muD jaen to mera ghar hai
Daliye is pe bojh sajdon ka
han magar soch kar ki ye sar hai
shaiKH sahib na toDiye is ko
ye mera dil nahin ye saghar hai
tum jise puj lo wo hai bhagwan
main uTha lun jise wo patthar hai
kis ki 'rahat' ki baat karte ho
chhoDiye wo to ek kafir hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.