sher to baad mein kaha maine
sher to ba.ad meñ kahā maiñ ne
pahle sochā thā qāfiya maiñ ne
ye nahīñ ki jalan huī mujh ko
bas tirī ḳhushiyoñ ko sahā maiñ ne
umr bhar Thokareñ jidhar khā.īñ
phir vahī rāsta chunā maiñ ne
gate se rishte lauT jaate haiñ
paal ke rakkhī hai anā maiñ ne
sher to baad mein kaha main ne
pahle socha tha qafiya main ne
ye nahin ki jalan hui mujh ko
bas teri KHushiyon ko saha main ne
umr bhar Thokaren jidhar khain
phir wahi rasta chuna main ne
gate se rishte lauT jate hain
pal ke rakkhi hai ana main ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.