Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shewa-e-zabt ko ruswa dil-e-nashad na kar

Rasool Jahan Begam Makhfi Badayuni

shewa-e-zabt ko ruswa dil-e-nashad na kar

Rasool Jahan Begam Makhfi Badayuni

MORE BYRasool Jahan Begam Makhfi Badayuni

    sheva-e-zabt ko rusvā dil-e-nāshād na kar

    lab-e-ḳhāmosh ko ālūda-e-fariyād na kar

    dil hai ganjīna-e-sad-gauhar-e-asrār-vafā

    ai nigāh-e-ġhalat-andāz ise barbād na kar

    saf.ha-e-dil se miTā azmat-e-māzī ke nuqūsh

    haiñ ye bhūle hue afsāne inheñ yaad na kar

    sheva-e-jaur ko rakh ahl-e-vafā tak mahdūd

    aam faiz-e-ḳhalish-e-dard-e-ḳhudā-dād na kar

    rakh nazar vus.at-e-dāmān-karam par apne

    ḳhatā-posh hai 'maḳhfī' ḳhatā yaad na kar

    shewa-e-zabt ko ruswa dil-e-nashad na kar

    lab-e-KHamosh ko aaluda-e-fariyaad na kar

    dil hai ganjina-e-sad-gauhar-e-asrar-wafa

    ai nigah-e-ghalat-andaz ise barbaad na kar

    safha-e-dil se miTa azmat-e-mazi ke nuqush

    hain ye bhule hue afsane inhen yaad na kar

    shewa-e-jaur ko rakh ahl-e-wafa tak mahdud

    aam faiz-e-KHalish-e-dard-e-KHuda-dad na kar

    rakh nazar wusat-e-daman-karam par apne

    tu KHata-posh hai 'maKHfi' ki KHata yaad na kar

    Source :
    • Uroos-e-sukhan
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now