KHushiyon ne intizar karaya hai umr-bhar
ḳhushiyoñ ne intizār karāyā hai umr-bhar
ujḌā huā dayār sajāyā hai umr-bhar
chhoTe se kaam meñ bhī bahut ḳharch maiñ huā
mujh ko yuuñ zindagī ne satāyā hai umr-bhar
har vaqt jo charāġh havā kī nazar meñ thā
ham ne vahī charāġh jalāyā hai umr-bhar
apnā rahā nahīñ hai mukammal koī pata
ḳhvāboñ kā ek shahr basāyā hai umr-bhar
mujh ko agar zarā sā diyā hai to baad meñ
ehsān zindagī ne jatāyā hai umr-bhar
do chaar sher kah bhī sakā vo bhī is liye
ham ne ġhazal pe ishq luTāyā hai umr-bhar
KHushiyon ne intizar karaya hai umr-bhar
ujDa hua dayar sajaya hai umr-bhar
chhoTe se kaam mein bhi bahut KHarch main hua
mujh ko yun zindagi ne sataya hai umr-bhar
har waqt jo charagh hawa ki nazar mein tha
hum ne wahi charagh jalaya hai umr-bhar
apna raha nahin hai mukammal koi pata
KHwabon ka ek shahr basaya hai umr-bhar
mujh ko agar zara sa diya hai to baad mein
ehsan zindagi ne jataya hai umr-bhar
do chaar sher kah bhi saka wo bhi is liye
hum ne ghazal pe ishq luTaya hai umr-bhar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.