shiar-e-zist ko kuchh rang-e-jawedana karun
shi.ār-e-zīst ko kuchh rang-e-jāvedāna karūñ
sunā.ūñ talḳh haqīqat ġhazal bahāna karūñ
kabhī to aa ki tirī zulf ke tasadduq meñ
shu.ūr-o-fikr ko tasvīr-e-āshiqāna karūñ
hayāt barsar-e-tāzīm dil agar Thahre
to kyoñ na ḳhūn-e-jigar sarf-e-dostāna karūñ
bahut hujūm hai yādoñ kā dil kī bastī meñ
jo dekh paao to dil ko nigār-ḳhāna karūñ
hunar-navāz tah-e-qabr jā chuke 'farhat'
daqīq lafzoñ meñ ab rasm-e-dil adā na karūñ
shiar-e-zist ko kuchh rang-e-jawedana karun
sunaun talKH haqiqat ghazal bahana karun
kabhi to aa ki teri zulf ke tasadduq mein
shuur-o-fikr ko taswir-e-ashiqana karun
hayat barsar-e-tazim dil agar Thahre
to kyon na KHun-e-jigar sarf-e-dostana karun
bahut hujum hai yaadon ka dil ki basti mein
jo dekh pao to dil ko nigar-KHana karun
hunar-nawaz tah-e-qabr ja chuke 'farhat'
daqiq lafzon mein ab rasm-e-dil ada na karun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.