shiddat-e-dard-e-jigar ho ye zaruri to nahin
shiddat-e-dard-e-jigar ho ye zarūrī to nahīñ
aur phir aañkh bhī tar ho ye zarūrī to nahīñ
be-ḳhudī bā.is-e-kulfat bhī to ho saktī hai
har nafas kaif-asar ho ye zarūrī to nahīñ
ḳhud ko pāmāl hī karnā hai to ai josh-e-junūñ
vo tirī rāh-guzar ho ye zarūrī to nahīñ
nashsha-e-ḳhvāb churā laa.e tirī āñkhoñ se
nāla-e-shab meñ asar ho ye zarūrī to nahīñ
nazar aatā hai jidhar silsila-e-naqsh-e-qadam
merī manzil bhī udhar ho ye zarūrī to nahiñ
shiddat-e-dard-e-jigar ho ye zaruri to nahin
aur phir aankh bhi tar ho ye zaruri to nahin
be-KHudi bais-e-kulfat bhi to ho sakti hai
har nafas kaif-asar ho ye zaruri to nahin
KHud ko pamal hi karna hai to ai josh-e-junun
wo teri rah-guzar ho ye zaruri to nahin
nashsha-e-KHwab chura lae teri aankhon se
nala-e-shab mein asar ho ye zaruri to nahin
nazar aata hai jidhar silsila-e-naqsh-e-qadam
meri manzil bhi udhar ho ye zaruri to nahin
- Book : Palkon Ke diye (Pg. 58)
- Author : Shatir Hakeemi
- Publication : Hazrat Shatir Hakeemi urdu acadmy Kamti Zila Nagpur (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.