shiddat-e-dard ko kuchh aur baDha sakta hai
shiddat-e-dard ko kuchh aur baḌhā saktā hai
qaid-e-tanhā.ī kā ġham aap ko khā saktā hai
muntazir rahtā nahīñ hai vo kisī lamhe kā
ġham kā bādal to kisī vaqt bhī chhā saktā hai
yā vo qatra hai mirā dil jo rahe āñkhoñ meñ
yā vo dariyā hai jo kuuze meñ samā saktā hai
ġham bhulāne ko use de duuñ dilāsa lekin
ye dilāsa use ġham yaad dilā saktā hai
dost mujh ko jo banātā hai ġharaz kī ḳhātir
vaqt par haath vo dushman se milā saktā hai
jashn ḳhushiyoñ kā manātā hī nahīñ hai jo kabhī
ain mumkin hai vo har dard chhupā saktā hai
gardan-e-amn pe dahshat kī chhurī hai 'anjum'
kaun aise meñ phir āvāz uThā saktā hai
shiddat-e-dard ko kuchh aur baDha sakta hai
qaid-e-tanhai ka gham aap ko kha sakta hai
muntazir rahta nahin hai wo kisi lamhe ka
gham ka baadal to kisi waqt bhi chha sakta hai
ya wo qatra hai mera dil jo rahe aankhon mein
ya wo dariya hai jo kuze mein sama sakta hai
gham bhulane ko use de dun dilasa lekin
ye dilasa use gham yaad dila sakta hai
dost mujh ko jo banata hai gharaz ki KHatir
waqt par hath wo dushman se mila sakta hai
jashn KHushiyon ka manata hi nahin hai jo kabhi
ain mumkin hai wo har dard chhupa sakta hai
gardan-e-amn pe dahshat ki chhuri hai 'anjum'
kaun aise mein phir aawaz uTha sakta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.