Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shiddat-e-gham se jo KHamosh zaban hoti hai

Amjad Ali Ghaznawi

shiddat-e-gham se jo KHamosh zaban hoti hai

Amjad Ali Ghaznawi

MORE BYAmjad Ali Ghaznawi

    shiddat-e-ġham se jo ḳhāmosh zabāñ hotī hai

    dil har baat nigāhoñ se bayāñ hotī hai

    yahī shabnam jo gul-o-ġhuncha jaañ hotī hai

    ba.az auqāt gulistāñ pe girāñ hotī hai

    bas vahīñ sāhil-e-ummīd ubhar aatā hai

    kashti-e-dil ba-ḳhushī ġharq jahāñ hotī hai

    ahl-e-dil ahl-e-yaqīñ ahl-e-amal ke aage

    raah dushvār bhī dushvār kahāñ hotī hai

    kashtī-e-umr hai tūfān-e-havādis meñ magar

    ġharq hotī hai ye zālim na ravāñ hotī hai

    ham to dīvāna-e-manzil haiñ hameñ kyā ma.alūm

    sub.h hotī hai kahāñ shaam kahāñ hotī hai

    kah do gulchīñ se ki phūloñ ko sañbhal kar toḌe

    inhīñ phūloñ meñ nihāñ barq-e-tapāñ hotī hai

    shiddat-e-gham se jo KHamosh zaban hoti hai

    dil ki har baat nigahon se bayan hoti hai

    yahi shabnam jo gul-o-ghuncha ki jaan hoti hai

    baz auqat gulistan pe giran hoti hai

    bas wahin sahil-e-ummid ubhar aata hai

    kashti-e-dil ba-KHushi gharq jahan hoti hai

    ahl-e-dil ahl-e-yaqin ahl-e-amal ke aage

    rah dushwar bhi dushwar kahan hoti hai

    kashti-e-umr hai tufan-e-hawadis mein magar

    gharq hoti hai ye zalim na rawan hoti hai

    hum to diwana-e-manzil hain hamein kya malum

    subh hoti hai kahan sham kahan hoti hai

    kah do gulchin se ki phulon ko sanbhal kar toDe

    inhin phulon mein nihan barq-e-tapan hoti hai

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now