shiddat-e-gham se meri jaan pe ban aai hai
shiddat-e-ġham se mirī jaan pe ban aa.ī hai
aur idhar us ne na aane kī qasam khaa.ī hai
dekh le kyā banī durgat tire dīvāne kī
tifl haiñ sang-ba-dast shahr tamāshā.ī hai
maiñ duā māñgūñ ḳhudā us ko amaañ meñ rakkhe
aur use mere taḌapne kī adā bhaa.ī hai
us ke haiñ saare takalluf ruḳh-e-zebā ke liye
zulf kab us ne mire vāste suljhā.ī hai
zahr-e-ġham mujh ko pilātā rahā jur.a jur.a
vaah kyā kahnā kyā andāz-e-masīhā.ī hai
tū ne kī zid to sunā dī hai kahānī apnī
ham-nashīñ aañkh tirī kis liye bhar aa.ī hai
kar liyā raunaq-e-duniyā se kinārā 'shāhid'
ik tirī yaad hai aur gosha-e-tanhā.ī hai
shiddat-e-gham se meri jaan pe ban aai hai
aur idhar us ne na aane ki qasam khai hai
dekh le kya bani durgat tere diwane ki
tifl hain sang-ba-dast shahr tamashai hai
main dua mangun KHuda us ko aman mein rakkhe
aur use mere taDapne ki ada bhai hai
us ke hain sare takalluf ruKH-e-zeba ke liye
zulf kab us ne mere waste suljhai hai
zahr-e-gham mujh ko pilata raha jura jura
wah kya kahna kya andaz-e-masihai hai
tu ne ki zid to suna di hai kahani apni
ham-nashin aankh teri kis liye bhar aai hai
kar liya raunaq-e-duniya se kinara 'shahid'
ek teri yaad hai aur gosha-e-tanhai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.