shiddat-e-intizar kaam aai
shiddat-e-intizār kaam aa.ī
un kī tahrīr mere naam aa.ī
din meñ ham ne bhulā diyā thā tujhe
raat lene ko intiqām aa.ī
sub.h markaz banī umīdoñ kā
shaam māyūsiyoñ ke kaam aa.ī
dekhte dekhte tirā chehra
ḳhud-ba-ḳhud qudrat-e-kalām aa.ī
shiddat-e-intizar kaam aai
un ki tahrir mere nam aai
din mein hum ne bhula diya tha tujhe
raat lene ko intiqam aai
subh markaz bani umidon ka
sham mayusiyon ke kaam aai
dekhte dekhte tera chehra
KHud-ba-KHud qudrat-e-kalam aai
- Book : Allah Hu (Pg. 27)
- Author : Shuja Khawar
- Publication : Chaman Enterprisies Padaudi House, New Delhi (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.