shiddat-e-izhaar-e-mazmun se hai ghabrai hui
shiddat-e-iz.hār-e-mazmūñ se hai ghabrā.ī huī
terī be-unvāñ kahānī lab pe sharmā.ī huī
maiñ sarāpā jurm jannat se nikālā to gayā
Darte Darte pūchhtā huuñ kis kī rusvā.ī huī
ek sannāTā hai dil meñ ik tasavvur aap kā
ik qayāmat par qayāmat dūsrī aa.ī huī
imtiyāz-e-sūrat-o-ma.anī ke parde chaak haiñ
yā tire chehre pe mastī kī ghaTā chhā.ī huī
aarzū fitne jagā.e dil meñ thī ab hai magar
is qayāmat ke jahāñ ko niind sī aa.ī huī
husn harjā.ī hai 'bismil' ishq kī lazzat ga.ī
andalīb-e-vaqt har ik gul kī shaidā.ī huī
shiddat-e-izhaar-e-mazmun se hai ghabrai hui
teri be-unwan kahani lab pe sharmai hui
main sarapa jurm jannat se nikala to gaya
Darte Darte puchhta hun kis ki ruswai hui
ek sannaTa hai dil mein ek tasawwur aap ka
ek qayamat par qayamat dusri aai hui
imtiyaz-e-surat-o-mani ke parde chaak hain
ya tere chehre pe masti ki ghaTa chhai hui
aarzu fitne jagae dil mein thi ab hai magar
is qayamat ke jahan ko nind si aai hui
husn harjai hai 'bismil' ishq ki lazzat gai
andalib-e-waqt har ek gul ki shaidai hui
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.