shiddat-e-jazb mein jab aalam-e-hu bolta hai
shiddat-e-jazb meñ jab ālam-e-hū boltā hai
mai-e-gul-rañg chhalaktī hai subū boltā hai
dil kā ā.īna khulā ho to sukūt-e-shab meñ
maiñ bayāñ kartā huuñ ḳhud ko kabhī tū boltā hai
jagmagā uThtā hai dam-bhar meñ chaman-zār-e-ḳhayāl
chāñd pahlū meñ utar kar lab-e-jū boltā hai
mausam-e-barf meñ har raat guzartī hai magar
gāhe-gāhe sahī ḳhvābīda lahū boltā hai
kyuuñ darīda hai badan kyā kahūñ kis se bolūñ
maiñ kahūñ yā na kahūñ tār-e-rafū boltā hai
dast-e-qātil kā hunar laakh chhupā.e lekin
āb-e-ḳhanjar na sahī zaḳhm-e-gulū boltā hai
lazzat-e-sajda atā hone se pahle hī 'shamīm'
har bun-e-mū se mirā āb-e-vuzū boltā hai
shiddat-e-jazb mein jab aalam-e-hu bolta hai
mai-e-gul-rang chhalakti hai subu bolta hai
dil ka aaina khula ho to sukut-e-shab mein
main bayan karta hun KHud ko kabhi tu bolta hai
jagmaga uThta hai dam-bhar mein chaman-zar-e-KHayal
chand pahlu mein utar kar lab-e-ju bolta hai
mausam-e-barf mein har raat guzarti hai magar
gahe-gahe sahi KHwabida lahu bolta hai
kyun darida hai badan kya kahun kis se bolun
main kahun ya na kahun tar-e-rafu bolta hai
dast-e-qatil ka hunar lakh chhupae lekin
aab-e-KHanjar na sahi zaKHm-e-gulu bolta hai
lazzat-e-sajda ata hone se pahle hi 'shamim'
har bun-e-mu se mera aab-e-wuzu bolta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.