shiddat ka dard hijr ho lekin dawa na ho
shiddat ka dard hijr ho lekin dawa na ho
Mohammad Mustahsan Jami
MORE BYMohammad Mustahsan Jami
shiddat kā dard hijr ho lekin davā na ho
maulā kisī faqīr ko aisī sazā na ho
shāyad ġham-e-hayāt ke dukh dard ek hoñ
dil ke muāmlāt pe ronā judā na ho
shāyad zarūriyāt-e-jahāñ vaqt hī na deñ
shāyad namāz-e-ishq kā sajda adā na ho
mumkin hai umr-bhar hī judā.ī kā ras piyeñ
lab par hamāre ḳhair kī koī duā na ho
ye aaj tak azal se kisī kī nahīñ huī
duniyā ke is sulūk se itnā ḳhafā na ho
shiddat ka dard hijr ho lekin dawa na ho
maula kisi faqir ko aisi saza na ho
shayad gham-e-hayat ke dukh dard ek hon
dil ke muamlat pe rona juda na ho
shayad zaruriyat-e-jahan waqt hi na den
shayad namaz-e-ishq ka sajda ada na ho
mumkin hai umr-bhar hi judai ka ras piyen
lab par hamare KHair ki koi dua na ho
ye aaj tak azal se kisi ki nahin hui
duniya ke is suluk se itna KHafa na ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.