shiraaza-e-hayat ki har shai bikhar gai
shiraaza-e-hayat ki har shai bikhar gai
Abdur Rauf Shahid Ansari
MORE BYAbdur Rauf Shahid Ansari
shīrāza-e-hayāt kī har shai bikhar ga.ī
kyā ho gayā vafā ko mohabbat kidhar ga.ī
merī shab-e-firāq kā aalam na pūchhiye
qalb-o-nazar pe ek qayāmat guzar ga.ī
kyā kījiye shikāyat-e-ġham-hā-e-rozgār
ye bhī guzar hī jā.egī itnī guzar ga.ī
dil meñ machal ke rah ga.ī sajdoñ kī aarzū
jalve ke intizār meñ tāb-e-nazar ga.ī
kyā pūchhte ho dair-o-haram kī haqīqateñ
parde paḌe hue the jahāñ tak nazar ga.ī
'shāhid' vafā-shi.āroñ ko ham ne bhulā diyā
insāniyat ke saath sharāfat bhī mar ga.ī
shiraaza-e-hayat ki har shai bikhar gai
kya ho gaya wafa ko mohabbat kidhar gai
meri shab-e-firaq ka aalam na puchhiye
qalb-o-nazar pe ek qayamat guzar gai
kya kijiye shikayat-e-gham-ha-e-rozgar
ye bhi guzar hi jaegi itni guzar gai
dil mein machal ke rah gai sajdon ki aarzu
jalwe ke intizar mein tab-e-nazar gai
kya puchhte ho dair-o-haram ki haqiqaten
parde paDe hue the jahan tak nazar gai
'shahid' wafa-shiaron ko hum ne bhula diya
insaniyat ke sath sharafat bhi mar gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.