shish-mahal mein do pal ko mehman hue the hum
shīsh-mahal meñ do pal ko mehmān hue the ham
ā.īne meñ ab tak apnā chehra DhūñDte haiñ
na.ī imārat ke saa.e meñ kaisā hai ye Dher
log purāne is meñ apnī duniyā DhūñDte haiñ
pyaas kahāñ lagtī hai is tūfānī mausam meñ
phir bhī jañgal meñ sab aahū dariyā DhūñDte haiñ
bastī ḳhud ho jaatī hai vīrāne meñ tabdīl
josh-e-junūñ meñ dīvāne kab sahrā DhūñDte haiñ
yuuñ bhī to ḳhud se hī bāteñ karnī haiñ din-rāt
ham bhī koī 'rāhat' apne jaisā DhūñDte haiñ
shish-mahal mein do pal ko mehman hue the hum
aaine mein ab tak apna chehra DhunDte hain
nai imarat ke sae mein kaisa hai ye Dher
log purane is mein apni duniya DhunDte hain
pyas kahan lagti hai is tufani mausam mein
phir bhi jangal mein sab aahu dariya DhunDte hain
basti KHud ho jati hai virane mein tabdil
josh-e-junun mein diwane kab sahra DhunDte hain
yun bhi to KHud se hi baaten karni hain din-raat
hum bhi koi 'rahat' apne jaisa DhunDte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.