shisha-e-dil shikasta-tar rakhiye
shīsha-e-dil shikasta-tar rakhiye
apne hālāt par nazar rakhiye
qatl-e-gul ho ki ḳhūn-e-bād-e-sabā
saare ilzām apne sar rakhiye
raushnī kā safar mudām rahe
zaḳhm māthe pe tāza-tar rakhiye
dast-e-qātil pe kījiye bai'at
ḳhuun apnā ḳhud apne sar rakhiye
daulat-e-ashk luT na jaa.e kahīñ
ghar meñ sāmān muḳhtasar rakhiye
shisha-e-dil shikasta-tar rakhiye
apne haalat par nazar rakhiye
qatl-e-gul ho ki KHun-e-baad-e-saba
sare ilzam apne sar rakhiye
raushni ka safar mudam rahe
zaKHm mathe pe taza-tar rakhiye
dast-e-qatil pe kijiye bai'at
KHun apna KHud apne sar rakhiye
daulat-e-ashk luT na jae kahin
ghar mein saman muKHtasar rakhiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.